Of Dinosaurs And Engineers!

Thursday, May 20, 2004

Poetic Duel

She
chal atleast tujhe yaad to aayi
hum intezaar karte rahe par raat na aayi

gussa hone ka kya huk hume
yaad karte rahe bas tumhe

jab zamana tumhe rok raha tha
khayalon mein hamare phone baj raha tha

phir jab koi kabar na aayi
humne hus kar apna li tanhai

town hall ke bahane upaar bulaya tha
4-6 bore karne ko bithaya tha

laut aye apni rozi roti ke paas
pyaar ke do shabad sunne ke hai bas aas

He
yaad tujhe kitna kiya, kya maloom tujhe
raat bhi aayi, aayi na lekin neend mujhe

hai, huk hai tume gussa hone ka bhi
ek mauka to do manane ka mujhe kabhi

roke zamane ke kab ruka hai tera khayal
kab aayega sunday, yahi tha bas ek sawaal

tanhayi to ab bhi chhayi hai, kya karein
baithe chup chaap aur tumhe yaad karein

laut aayi tum to aakhir apni rozi roti ke paas
kab bujhegi bhala rosy se milne ki meri aas

She
mauka manane ka tumne kho diya
na phone kiya na milne ka waida kiya

ab kya jaldi hai tumhe ?
hafte ke saare din fursat nahi hume

tabhi itni bechaani thi es sunday ko
hafte bhaar ki batein sunani thi tum ko

tumhara to kuch aaur hi irada tha
kafi jhoota milne ka wada tha

zamane ke saath mil kar hasna naseeb par
tumhe na fikar na dukh nahin milne par

He
mauka manane ka mila hi nahi, manate kaise
thursday milne ka bhi vada hai, bhool gayi ho jaise

hafte bhar ki baatein tumko bhi sunani hain
aur tumhari to kuchh purani bhi pending hain

irada mera nek tha, aur sachha tha vada bhi
manzoor-e-khuda hi kuchh aur tha us din tabhi

fikar aur chinta kitni karta hoon, tum jaanti ho
fir bhi kabhi kabhi itna bura kyon maanti ho

She
mere liye thursday ka intezaar bahut tha
tumhe char din idhar udhar manzoor tha

yeh sooch ke hi dil dukh raha tha
tumhe khuda ka kehna bhi manzoor tha

thursday ko mera milna mushqil hai
tumhe kya, phir teen din baad sunday hai

He
kaun kambakht apni khushi se intezaar karte hain
apna gham chhupane ke liye dil paththar kar lete hain

ab to khuda ne bhi kaafir karaar de diya hai
but-parasti tumhari karne ka yeh sila mila hai

kuchh bhi karo, thursday ko milo lekin, 5 min ke liye sahi
ek mara hai abhi soniya par, ek tumhare upar parson sahi

0 Comments:

Post a Comment

<< Home